Forex trading mn Price Action ka word akser use kia jata h. Aj mn ap logo eski full definitely share kr rha hun. Forex chart pr bni hui hr time frame ki candle, alag alag meaning rakhti h. Kuch candle long to kuch short aur kuch arrow type bnti hn. Kuch black ya white hoti hn aur kuch blank hoti hn. To en candle ki alag alag body size/shapes ka ek khas mtlb hota h k es time frame k doraan market ki koa situation rahi h. Kia buyers strong thy ya sellers ka hold h, current trend kis ki favour kr rha h. Es mn price ki high/low ki bi indication shamil hoti h. To es specific period k ander ander price ki movement ko Price Action kehty hn jo k previous momentum ko show krta h aur phir trader es price action ki base pr ap i next trades plan krty hn. Jaisa k koi koi M30 TF mn kisi khas range mn chal rha h to trader ye daikh skta h k candlesticks bta rhi hn k price sideway mn h to wo entry na kry. Agr kisi aur pattern ki presence milti h to phir usi k hisab sy action kry ga.
I hope k ab new members ko Price Action ki asaani sy samjh lag jay gi. Lakin zayada clear concept k ly apko khud sy chart ko study krna ho ga ...Stay strong.
I hope k ab new members ko Price Action ki asaani sy samjh lag jay gi. Lakin zayada clear concept k ly apko khud sy chart ko study krna ho ga ...Stay strong.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим