Forex market main kai traders jab big lot use karty hain to woh apny losses ko kai guna tak barha daity hain. Laikin is kay muqably main jo traders small lot use karty hain woh loss ko bahut kam rakhty hain. Yani jo traders 100$ ki equity main 100$ complete margin use karty huye trade karty hain, zahir hay loss ki surat main aik aik pips per unka loss ziada hota rehta hay,laikin jo traders sirf 20$ tak he margin use karty hain iska matlab hay keh ye fair money management kar rahy hain aur loss ko minimum rakh rahy hain. Is tarah kam loss ki surat main isko recover karna bhi easy hota hay aur account bhi safe rehta hay. Lehaza hamain yahan ye nai sochna chahiye keh loss ho raha hay balkeh hamain yahan is bat per working karni chahiye keh kis tarah losses ko kam say kam limit tak mehdood rakh sakain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим