Forex Trading Analysis
Forex trading me traders ya investers apne trading ko kamyab banane aur is business se faida uthane k leye mukhtalif qisam ki analysis karte hen. Forex trading me analysis pe jitni ziada mehnat ki jayegi to us se hamare is business me kamyab hone k chances bhi ziada hote hen. Forex trading k business se asal faida hasil karne k leye analysis ka karna nehayat zarori hai. Forex trading me humen analysis ki madad se hum mustaqbil ki market ki haduhal ka ilam ho jata hai, jis se hum munafa hasil karte hen. Forex trading me teen tarah ki analysis ki jati hai jo k hamare business k leye teeno zarori hai; Technical analysis, Fundamental analysis aur Sentimental analysis. Ayen dekhte hen k analysis kis tarah se saranajm de jati hai;
Technical Analysis
Forex trading me technical analysis ka jo mahir hoga to wo is business me sab se ziada kamyab bhi hoga. Forex trading me technical analysis k leye mukhtalif qisam k trading tools ; technical indicators, technical charts patterns aur candle sticks patterns ka istemal hota hai. Jitna ziada aik trader technical tools ki knowledge rakhega utni hi us ki technical analysis musar hogi aur jitna ziada aik trader technical analysis ka istemal karega to utna hi wo trader forex trading me ziada kamyab rahega.
Forex trading ki business bagher technical analysis k adhora hai. Is business se hum sahi mano me us waqat asal faida hasil kar sakte hen jab bhi hum apne trading k duran technical analysis ka istemal karengay. Forex trading k technical analysis k leye technical tools ka knowledge hona bohut ziada zarori hai. Forex trading me hum technical tools se hi mustaqbil ki prices predict kar sakte hen aur apni trading ko kamyab bana sakte hen.
Fundamental Analysis
Forex trading me jis tarah se technical analysis ka istemal zarori hai to us tarah se fundamental analysis ka istemal bhi zarori hai. Forex trading me currencies aur commodities par aksar awqat mukhtalif qisam ki fundamental environments asar andaz hote hen, jis se un commodities ya currencies ki values me bohut tabdeeli waqeaa hoti hai. Is waja se humen forex trading me trading karte waqat fundamental environments se bakhobi waqif hona chaheye.
Forex trading me fundamental environments mukhtalif qisam k ho sakte hen, kuch fundamental environments waqti hote hen aur kuch ka asar ziada derpa hota hai. Aam tawar par mukhtalif mumalik ki jo maeeshat k hawale jo data jari hota hai to us ka asar waqti tawar par hota hai, jis se sirf aik khas mulk ki currency hi asar andaz hoti hai lekin jo fundamental environments pori dunya ko mutasir kar sake ( jaise; Corona waba, America-China trade war, America-Iran nuclear deal ) to un ka asar derpa hota hai. Fundamental analysis bhi hamare trading par bohut ziada asar andaz ho sakti hai is waja se hum fundamental environments aur News se har waqat bakhabar hona chaheye.
Sentimental Analysis
Forex trading me hum technical analysis ko technical tools ki madad se saranjam dete hen jab k fundamental analysis fundamental environments aur News ki madad karte hen, lekin sentimental analysis hum technical analysis aur fundamental analysis dono ko yakja karke karte hen. Matlab k technical analysis karne k bad aur fundamental environments dekhne k bad jab humen ki currency ya commodity k leye jo result hasil hota hai, wo sentimental analysis k zemre me ata hai. Jis tarah hum forex trading me apni trading ko kamyab banane k leye technical aur fundamental analysis karte hen to humen sentimental analysis ka bhi faida uthna chaheye, is se hamre trading ziada musar hoti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим