Kai traders baz dafa trading kay doran jab thory say running loss main hoty hain to woh ye soch rahy hoty hain keh market ab wapas jaye gi aur woh aik aur trade open kar laity hain jis say unki ye trade bhi running loss main chali jati hay, aur iskay bad inka loss double rate per hota jata hay. Ager ham free margin aur equity ko follow karty huye aik he trade ko running loss main hold kiye rakhain to is say ham ziada loss say bach jaty hain. Dusra ye keh hamain proper risk management karni chahiye. Jab tak proper reversal point na mily tab tak dusra order place na karain aur sirf aik he trade ko hold kiye rakhain. Mazeed aisi situation main hedging say avoid karna chahiye. Please comments.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим