Assalam o Alaikum Dosto umeed krta hon Aap sab log khariyat se hon gy . Dosto Forex Trading me trade krny se pehly market ka analysis krna bhot zarori hota hai . jis me analysis ky sath ksii ayk indicator ka bhi bhi istamal kia jta hai . indicator to bhot sary hain lekin Aaj me aap ko Rlative Strength (RSI) ky bary me btaon ga. RSI ayk aysa pemana hai jis ki madad se Hum market me moujood currency , metal (gold , silver, oil) ki price me Aany wali Tabdeeliyo ka andaza laga skty hain. RSI 0 zeero se 100 hundred ke darmiyan mapi jati hai. hum 30 se kam RSI ka matlab Oversold ka lety hain . mean ye chez market me zayada frokht ho gai hai . Aur 70 se ziyada RSI ka matlab OverBought ka lety hain. Supply aur Demand ky qanoon ky mutabik jo cheez Oversold ho jae to us ka rate increase hota hai aur jo cheez OverBought ho jae us ka rate low hota hai . big time frame ky chart me RSI ki bhot ahmiyat hai . 4H ky chart me agr RSI 30 se km ho to rate upar jany ka imkan hota hai aur agr 70 se upar ho to rate low hony ka imkan hota hai . RSI indicator Metatrade4 me mojoud hota hai hum isy ba asani se chart par Add kar skty hain. Is Indicator ka istamal kr ky hum chart me anlysis ki mukamal confrmation hasil kr skty hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим