Kisi mulak ki currency kay mazboot ya kamzoor honay ka daromdar es mulak kay eqtsadi sanaeti rozgar aur bank ki shra sood wagera par hota hay traqi yafta mumalak har mah mukhtalif tareekh ko en ka elan karty hay en ailanat ki badolat market main had say ziada teezi daikhnay main aati hay ************.com kay calander main lal rung kay waqat hony waly ailan 15 min ya 5 mint time frame main daikhnay say market ki teezi ka bakhoobi andaza lagaya ja sakta hay en ailanat kay waqat trading ko news trading kety hay news trading bohat ziada khatarnak hoti hay kyun keh price chand second main 50 nsay 70 pips umoman movement karty hay america kay non farm pay rolls kay waqat usd/jpy ko daikha jaye to kai dafa price 200 pips tak jati hay es trha traders ba azani stop loss hit honay ka shikar ho jaty hay news trading bohat he tajarba kaar traders kar sakty hay es kay liye traqi yafta mumalak ki shra namo, Afraat zr, Eqtsadi aadado shumar, Rozgar aur shra sood wagera ka mukamal ealam honay kay sath sath demo account par lambi practice ka hona zaroori hay koshish karen keh kisi bhi currency kay aham ailan say pehlay open trades close kar dain es main he faida hota hay kyun keh us waqat market controle main nahi hoti esmain risk hamesha apny tajurbay kay hesab say lena he munasib hota hay kabhi bhi lalach ki zad main aa kar news par trade karna bhi aqalmandi ka muzahira nahi hota.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим