Robot computer zuban main program hota hay jis main technical signals feed kiye jaty hay aur button daba dea jata hay price agy barhati hay programing kay hesab say khud ba khud trades open aur close hoti rehti hay humara computer on ho ya off trades automatic tarikay say open close hoti rehti hay, Trading kay waqat un awamal ko mady nazar rakhty hay msal kay tor par bollinger bands sukar jaty hay aur price tang range main aa jati hay to samjh dar traders bilkul risk nahi lety es trha nuqsan say bachy rehty hay magar robot en cheezo ko nahi janch sakta, Esi trha aham ailanaat say qabal traders trading close kar daity hay aur ailanaat ka intizar karty hay magar robot main en ailanaat ki programing fed nahi ki ja sakti aur robot apna kam programing kay mutabik karta rehta hay jis ki waja say traders kafi nuqsan uthaty hay, Sochny ki baat hay keh agar robot etni kmai kar kay dain to en ko bnany waly khud arab aur kharab patti na ban jaye, Aur aggy baichnay waly bhi rato raat ameer tareen ban jaye, En logo ko trading karni aati nahi lehaza es kisam ki products bna bna kar farookht karty hay aur naiye traders ko ullu bna kar raqam batorny ka dhandha karty hay saboot kay toor par lambi back history bhi dikhai jati hay halankeh ye history random numbers excel main dal kar tyar ki jati hay aur kabhi kisi nay es hostory ko check karnay ki zehmat bhi nahi ki koi bhi history mustaqbil ki trading kay munafa bakhash hony ki zaman nahi ho sakti pher en robots ki qimat bhi kam rakhi jati hay ta keh ziada qimat ki waja say log hichkichahat ka shikar na ho halankeh aik programmer aik robot tyar karty main itni mehnat saraf karta hay jis ka aap aur main andaza nahi kar sakty pher es ki qimat agar sirf 3 say 4 hzar aur kamany es say lakho aur cror ho to seedhi baat hay keh zaroor daal main kala hay
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим