Friends baz dafa ham trade open to karty hain aur acha entry point bhi select kar laity hain laikin hamain phir bhi is main baz dafa profit ho jata hay. Iski waja yeh hoti hay keh ham apni trade ko open karny kay bad bhool jaty hain ya isko followup nai karty. Dusri waja iski yeh bhi hoti hay keh ham ziada profit kay chakar main trade ko open kiye rakhty hain aur isko close nai karty. Aisy main baz dafa trend change ho jata hay aur again trade hamary entry point kay pas ya is say bhi side eper chali jati hay jis say hamain profit say loss main trade ko close karna par jata hay. Lehaza main ye sab say kehna chahun ga keh ager hamari trade aik bar profit main chali jaye to ziada dair tak hamain ye trade open nai rakhni chahiye balekh isko profit main close kar daina chahiye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим