Jab ham charts per analysis karty hain to in candlesticks formation say hamain kai cheezon ko parakhna aur identify karna parta hay. Jis main aik to hamain support and resistance levels ka tayun karna hota hay. Jis say hamain further trend ki consistency ya reversal ya change ka bhi pata chal raha hota hay. Iskay sath he hamain mazeed is say demand and supply ka bhi pata chal raha hota hay. Iskay bad ham further yahan per trade kay hawaly say bhi kai baton ka pata laga sakty hain keh kab tak trend valid hay aur hamara stop loss ya take profit kia hoga. Hamari mukamal entry aur exit ka daromadar bhi isi bar formation per hota hy. Jab ham in tamam baton ka tajzia kar lain to he ham trade main kamyabi hasil kar sakty hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим