Re: Hamen Ek target Mein kam karna chahie
Agar ham target bana ker kaam kerte hain to ham asani say kamyabi hasil kr sakte hain q k es ki main waja yeh hai k forex mien jab target pora ho jata hai to us k bad trade close ker di jati hain matlab k greed baqi nahi rehta. Agar greed nahi rehta to loss k chances kafi had tak kam ho jate hain es leye target bana ker kaam karna better hota hai. Kio b insan dunyia mien target banan ker kaam karta hai to us ko kamyabi zaror milti hai magar jab b kio target k bina kaam karta hai to us ko nuqsan ka samna hota hai. Es k sath sath hamin chahye k ham target b chote chote rekhen ta k jin ko achieve karna asan ho. Agar ham zayada ka lalach karen gy to target pora nahi ho ga. Es tarah hamain fully plan karna hoga aur apni trade ko right time per open karna hoga. Umeed karta hun k ap logo ko meri yeh post achi lagi ho gi.
اصل پيغام ارسال کردہ از: Jamshaidahmad
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим