Agar app ki lot phas jain tab app kia ker tey ho?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #61 Collapse

    is trha ki situation mein ap ke paas 2 options hote hai ya tu ap reverse trade laga de badhi lot ki capital ko safe krne ke lye ya tu phr ap kisi aur opportunity pe urgent basis pe trade lagaye taake us se ap ka profit generate ho aur ap ki situation survival jese ho is ka yehi option hosakhta hai is situation mein kyo ke ap ki lot already heavy hai
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #62 Collapse

      Agar ap ki koi lot phans gai ha to aap market watch kar k agar buy ha to sell; laga len ur agar sell ha to buy kar dain istarha aap kacccount hatch ho jai ga ur aap market watch kartay howay aik side ki trade ko
      open kar dain to apka account wapus ho jai ga
      • #63 Collapse

        dear friend ap nay ik acha sawal keya ay aur may ap ki baat say agree kerta hu ager ap ki lot phanc jay to ap ko jay ager ap nay sell lagaya ho aur wo buy ki taraf ja raha ho to ap ko chahyia kay ap ik buy be laga dain is tarah ap loss say bach saktay hain
        • #64 Collapse

          mery khayal sy is k do tareqy hen jin sy aap kam sy kam mazeed loss sy bach skty hen pehla tareqa hegding hai aur dosra tareqa ye hai k aap us trade ko close kr k nay trade lgaen
          • #65 Collapse

            agar apki lot kisi waja se pas jati hai to ap usko hedge ya counter entry ki theory se bacha skte ho
            aur ap us mein apne account ko bi bacha skte ho
            • #66 Collapse

              Thanks senior fellows for sharing your valuable tips and experiences that are really helpful for new comers in this Forex business with reference to stucking of lot. So, keep going and continue updating your tips and techniques to help us for successful business.
              • #67 Collapse

                Dear men to abe tak new hn,trading start nhn ke ha,os lie mjhy itne information nhn ha,bal k miry khayal men hamara pas jitna bonus aviliable ho on ke lot lagane chaie,jab ham on say zayda lagaen gay to zahir c bat ha,phans jai ge,to on men loss hoga,to is say behtr ya hay k starting men bhe aise risk na len ,phr aise parishane bhe nhn hoge.
                • #68 Collapse

                  forex me aksar esa moqa ata hai ke jab aap trade lagate hai to aap ka trade bahot lost me jata hai . os waqt agar aap ko lage ke ye baad me phir profit me aa sakta hai to aap ko ose open chorhna chahiye agar aap ke equity kam hote jaye to aap ko ose close karna chaiye ...
                  • #69 Collapse

                    phli baat to ye k ap acount ap k acount k hisaab se lot use kren agar 100 dollars ka acount hai to .10 se kam lot use kren ap. agar lot phans jain to ap apne seniors se discs kren ya agar apko lag ra hai k ab mrkt wapis nhi ay gi 50% loss pe he closs kar dain
                    • #70 Collapse

                      bhai mare ap n jo sawal kia he uska jawab bhi ap n khud he de dia he ismain ksi preshani ki zarorat nhi nafa nuqsan donoo is trade main he to donoo k lay pehle se tayyar rehna chahay.
                      • #71 Collapse

                        Forex k business mein some time hota hai k lot phas jati hai tu mari jab lot phasti hai tu main us ko apna experience se solve karna ki try karta ho. kyun k forex mein jab bhi kase ko problem hoti hai tu wo apna experience ko use karta hai aur apni condition ko dekh kar per decision leta hai.
                         
                        • #72 Collapse

                          dhko bhai logo ko lalach main nahi ana chnye or apna mind banana chye phely hi or hameysha choty hi balance say start krna chany or trad dhktay howay decision lain or trading karty waqt soch samj sy kam lain
                          • #73 Collapse

                            dear friend agar kabhi bhi easa ho ta koshish karo k us trade ko wahi rok do taky ziyada loss na hoo or phir 2nd trade laga di jye taky loss cover ho saky wese forex mai akar itna experience to hona chahiye k ab trade karni chahiye or kab or kitny lot k sath ziyada ki lalach nh ki jiye warna nuksan ho ga
                            • #74 Collapse

                              yr mhjy tou iss baray mein koi idea nhi hai mein yahan new hon mein ne abi tak koi trade nhi lgaai..mein abi yahan bonus bna raha hun aur sath mein trade b seekh raha hun aik month k baad trading start kron ga
                              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                              • #75 Collapse

                                Ye situation tab ho gi jab aap baghair planning k trading kr rahe hon. agr aap k pass amount kam hai to soch samajh kr aur stop loss laga kr trading karain is se loss apke control main rahe ga

                                اب آن لائن

                                Working...
                                X