Loss & profit kisi bhi buisness ka ultimate part hota hai aur ye dono sath sath chalte rehtay hain. Forex trading ek Risky buisness hai aur is mein loss & profit margin almost 50/50 hota hai. Loss honay ki surat mein recovery bhi ho jati hai but dekha gya hai aksar new traders ko loss itna ziyada ho jata hai k un ka account wash ho jata hai. Account ko wash hony sy bchany k liye ek technique use ki jati hai jisko hedging kaha jata hai. Ismein ap ny same lot size ki trade apni pehli open ki hui loss wali trade k opposite lagani hoti hai. Is sy aap ka account locked ho jata hai aur loss & profit ek dossray ko neutralize kr dete hain aur apko whe loss hota hai jo 2nd trade open karne se pehly ho raha ta. Ye technique tabhi use ki ja skti hai jab aap k paas enough balance ho aur apki Trade mazeed loss mein ja rahi ho. Account ko wash hony sy bchany k liye ye best technique hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим