Her trader ko yehi fikar hoti hai kay loss kaisay kamm hota hai. Aur loss Kamm kernay kay liye hamesha koshish kertay rehtay hain. Forex trading mai traders ko bohat si baato ka khayaal rakhna parta hai. Loss aisa masla hai jisay solve kiye baghair trading mai kaamyabi mumkin nahi hai. Loss Kamm kernay kay liye traders ko iss baat ka khayaal rakhna chaiye kay apni trades kabhi bhi jald baazi mai open na Karey aur na he jald baazi mai close kia Karey. Forex trading kernay waley traders ko sabar say kaam laina chaiye aur iss kay saath saath laalach say bachna chaiye aur lot size kabhi bhi ziada nahi rakhna chaiye. Lot size ziada rakhnay say traders ko apnay account ko manage kerna bohat mushkil hojata hai. Loss Kamm kernay kay liye traders ko learning pay focus kerna chaiye
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим