Forex trading mai traders ko trading terminal pay bohat say indicators available hotay hain. Jinn say traders jab chahay faida utha saktay hain laikin indicators koi hatmi rahnumai nahi ker rahey hotay hain bulkay kisi na kisi formulay pay he indications day rahey hotay hain. Iss liye yeh zaruri nahi kay indicators ki madad say trading ker kay hamesha profit he hoga. Indicators ki bajaey agar traders manual trading karain aur market ko khud monitor Karey aur phir apnay trends aur analysis ker kay trades open kia Karey to uss say bohat ziada faida ho sakta hai. Manual trading say traders ko apni strategies ko develop kernay ka moqa mill Jata hai aur iss Tarah traders khud apni trading say bohat achi earnings haasil ker saktay hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим