Forex trading mai traders ko hamesha planning kay saath he trading kerni chaiye. Aur kisi bhi trader ko plan kay baghair trading nahi kerni chaiye. Forex trading business mai jo traders plan kay saath trading kertay hain woh kaamyab rehtay hain. Plan banana aur phir uss pay puri tarah ammal kerna he trading mai grow kerwati hai. Agar planning nahi hogi to business say bhi acha faida nahi Lia jaa sakta hai. Planning kay liye trading seekhnay say lay kay earnings kernay takk sub kuch he shamil hota hai. Forex trading business kay liye traders ko iss baat ka bhi khayaal rakhna chaiye kay aisi planning ya strategies ko kabhi bhi follow na karain jo unn ki learnings ya knowledge say match na Karey. Account balance ko saamnay rakh kay aur market kay trends ko daikh kay he planning kerni chaiye
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим