Forex trading mai traders ko apni ghaltioo pay control rakhna chaiye. Kabhi bhi yeh nahi souchna chaiye kay unn ki kisi ghalti say account wash nahi hoga. Forex trading business mai aik choti say choti ghalti bhi traders ka account wash kerwa daiti hai. Ziada ter traders iss phase say guzartay rehtay hain kay woh jab koi trade open ker laitay hain to unhain pata nahi chalta kay result kia hoga laikin kuch he dair mai picture clear hona shuru ho jaati hai. Iss liye traders ko koshish kerni chaiye kay Agar jaldi apni ghalti ka ehsaas hogaya ho to trade close ker laini chaiye kiyu kay faisla jitni jaldi ker Lia jaey utna he theek rehta hai. Account wash honay mai ziada dair nahi lagti laikin account balance arrange kernay mai bohat waqt lagta hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим