Forex trading me lot size ka bara amal dakhal hota hai. Lot size jitna kam ho to us se risk bhi kam hota hai aur ziada lot size se risk ziada hota hai. Forex Trading me lot size ka aik bara aham role hota hai ya ye samjh lo k lot size Forex Trading me trade ki akaye hai. Jab hum lot size k positive aur negative value se waqif ho jayen to us k baad hi hamen trading shron karni chaheye. Small lot size hamare account k leye ideal hota hai aur is se hum apne account ko safe rakhte hn lekin agar lot size hum ziada karte hn to is se hamara account risky ho jta hai aur mumkin hia k hamara account wash ho jaye. Aam tawar pe lit size ka aghaz 0.01 se hi hota hai aur is ko hum mazeed increase bhi kar sakte hn. Lot size ko bohut hi zyada careful istemal karna chaheye q k hamari trading ka sara inhisar is pe hi hota hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим