Correct use of Time frames

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Correct use of Time frames
    Trading mein Time frames sy e hamain trading intensity aur volatility ka clear pata chalta hai. Trading mein time frame ka correct use apko achi earning dy skta hai. Aap ne jo bhi indicators apply kiye hote Hain wo aap k timeframes k according hi indications dy rahy hote Hain aur candlestick patterns bhi timeframe ke mutabik bn rahy hote Hain. Time frame k correct use k liye main apny kuch points aap k sath share krna chahun ga..
    1. Trade open krny sy pehly jab aap kisi pair ka analysis kar lete hain aur trend check kar lete hain to uske bad sabse pahle aap sary time frame laga kar us pair ki movement aur intensity check kar liya Karen. Is sy aapko well clear idea ho jae ga.
    2. Day trading mein trade hamesha medium Time frame per lagya kren. Medium time frame H1, M30 aur M15 hain. Ye saray time frames aisay hain Jin mein aap candlestick patterns aur Market ki movement easily samajh sakte hain. barhay time frames lambi trades ke liye best hain.
    3. Choti trades aur scalping ke liye M5 time frame sabse best hai. Is time frame mein movement ko easily samajh sakte hain.
    4. M1,M5 per kabhi bhi lambi trade mein lagaen kyunki yah chhote timeframes hai aur aapane a Jo indicators apne chart per apply kiye hue hote Hain wo inhi time frame ke according indications de rahe hote Hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Correct use of Time frames

    Hamy is me soch smjh kar kam karna chaiye or aca kam kary or achi mhenat sy kam kary
    • #3 Collapse

      Re: Correct use of Time frames

      Forex trading mai time frames ka use bohat ehmiat rakhta hai. Jo traders sahi waqt pay sahi time frames use ker laitay hain aur market kay achay trends ker laitay hain wohi kaamyab traders kehlatay hain. Forex trading business mai trading terminal ko samajhna bohat zaruri hota hai. Her trader ko iss baat ka khayaal zarur rakhna chaiye kay jab market kay trends daikhnay ho to pehlay big time frames mai movement ko daikha Karey phir small time frames mai check kia Karey iss tarah achay analysis kiye jaa saktay hain. Her trader ko H1 say M30 phir M15 main chart ko read kerna chaiye
      • #4 Collapse

        Re: Correct use of Time frames

        Forex trading mien hume chahie ke hum her cheese ka correct use kare agar hum aisa nhi kare ge tu hume ache profit bhi hasil nhi ho ga. Time frames ko bhi hume ache se samjhna chahie aur forex mien zyada ter hume h1 h4 per trading kerni chahie tu hi hum forex mien kamayabi hasil ker sake ge. Aur agar hum bina sooche samjhe kam kare ge tu hume loss ke siwa kuch hasil na ho ga.
        • #5 Collapse

          Re: Correct use of Time frames

          mjhy bhi yhi lgta hai k yhan ik time tak hum kam kr skty hain wrna time ki limit aa jati hai jb k apny abhi poori posts bhi nahi ki hoti is k liye apko time ko manage krna chaiye
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: Correct use of Time frames

            Trading k work main time frame bhi bohat hi important cheez ha ziyada tar trader H1 or H2 time frame chose karty Hain trading k liyea or Mary experience k mutabiq H1 best hota ha or bara profitable bhi sabit hota ha baqi Day1 long term trading k liyea best ha

            اب آن لائن

            Working...
            X