Salam dear traders!!! Dosto aj me ap se ye share kerna chahta hon ke forex ka business risky kyun hota he?? Dosto wese to dunya ke her ek business me risk hoti hi he magar forex market ke business me kuch ziada hi risk hoti he kyun ke forex me currencies ka rate fluctuate hota rehta he jis se hum log earning kerte hen or jis bhi trader ki analysis thori si bhi galat chali gai to us ki galti ki wajah se us ka sara account wash ho jata he isi lye forex ek risky business bhi kehlata he.. or dosto jahan pe risk ziada hoti he wahan pe earning bhi ziada hoti he so agar hum log galati kerne se door rahenge to hum risk se bhi bache rahenge or account wash hone se bach jaega..
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим