Trading kay doraan jaha loss ko recover kernay kay bohat say tareekay hain wahi pay loss say pehlay he loss ko roknay kay bhi bohat say tareekay aur techniques mojud hain. Her trader ko aik loss say bachnay ki technique jiss ka naam hedging hai uss ka bhi pata hona chaiye. Forex trading mai jab koi trade loss mai jaa rahi ho aur account balance available ho to uss kay opposite trade laga kay uss ko roka jaa sakta hai. Iss Tarah aik trade ka loss aur Dusri trade ka profit mill kay equity aur margins ko control rakhtay hain aur phir market kay kisi aik return pay aik aik ker kay dono trades ko close kia jaa sakta hai. Iss tareekay ya trading technique ko hedging kaha jata hai aur traders ko demo trading practice mai hedging ko laazmi seekhna bhi chaiye
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим