Forex Trading me koi bhi ghalti ho us ka asar bohut hi ziada khatarnak hota hai aur hamare account tak k wash ho jate hn. Is waja se Forex Trading me mistakes ko khatam karne pe b mehnat karen. Ghaltian har jagah ho sakti hai. Forex trading me bhi aksar awqaat ghaltian ho jati hai jo hamen kafi nuqsan de jati jai. Lekin agar hum un ghaltion se sabaq nahi hasil karengay aur us ko ignore karne ki koshash karengy to ye hamen mazeed aur nuqsan de gi. Forex trading me ghalti choti ya bari nahi hoti bas ghalti ghalti hoti hai aur is ka chota ya bara hona is k nuqsan pe depend karta hai k wo nuqsan kitna deti hai. Is waja se ghaltion se seekhne ki koshash karen. Forex Trading me mehnat se kaam karna is ka sab se bara aur aham hathyar hai jo hamen apne maqsad aur matloba hadaf tak asani k sath pohuncha deta hai. Pak Forex forum mein agar acchi earning karni hai To Hamen mehnat karna Hogi.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим