Forex Trading me market bohut hi ziada teezi k sath change hota rehta hai is waja se jab bhi trade open karen to us ki monitoring yani bar bar lazmi check karen is se hamen apne trade ki position aur market ki news ki wajase changing ka pata chalta hai. Koshish karen k trade aur market news sath hi sath follow kia karen. Market news pe nazar rakhna bohut bari khobi hai. Market news hi aksar awqat hamare analysis ko nakam banati hai. Is ki waja se forex trading me bohut zyada taghayur peda hota hai. Forex trading k commodities to sare ka sara market news k zere asar hota hai. Aur is me market me changing ki waja se bohut values apni position tabdeel kar deti hai. Agar market news k sath hamare analysis bhi itefaq kar jaye to is se hamen bohut zyada faida mel jata hai aur hamara target bohutvjald achieve ho jate hen. Mehnat tab tak jari rakhen jab tak success hasil nahi kar pate ho. Mehnat tab tak jari rakhen jab tak success hasil nahi kar len aur forex ka sahi experience hasil na ho jayen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим