Trading kay doraan aksar aisa hota hai kay kisi trade mai achanak market movement ki wajah say loss hona shuru ho jata hai jiss say bohat say new aur junior traders aik dum pareshan ho jatey hain aur phir usi pareshani mai ghaltiaa shuru ker daitay hain jiss say loss mazeed barhatay hain. Her trader ko apnay mind mai yeh baat pehlay say rakhni chaiye kay forex mai sirf profit he nahi hota bulkay kabhi kisi trade mai loss bhi ho sakta hai aur profit aur loss business ka hissa hota hai iss liye Forex ko bhi business ki Tarah kerna zaruri hai. Jo traders loss say pareshan hotay hain woh kabhi kaamyab nahi ho saktay hain. Forex ko samajh kay kernay say he acha business develop hota hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим