Forex trading ka zikar kia jaye to yahan ye bhi mention karna zaroori hay keh kuch aisy traders blekh aksar traders jo keh sirf chart ki base per trade karty hain yani keh technical analysis kar kay trade karty hain. Ya kuch aisy bhi hain jo sirf chart ko sarsari sa daikhty haun aur trade main in ho jaty hain. Kuch aisy hain jo special indicator ka use kar kay trade karty hain. Laikin in sab ki trade risky, loss main jaye ya in ko profit ho, woh apny isi makhsoos tariqay ko hamesha use karty rehty hain. Yani keh woh kabhi fundamental analyais ya news ki parwah nai karty.
Kuch aisy traders hain jo hamesha fundamental analysis ko mad e nazar rakh kar trade karty hain. Aur wo news kay publish hony kay time say waqif hoty hain aur aisi khabron say khud ko bakhabar rakhty hain jo currency ya kisi bhi pair main trade kay liye positive ya negative sabit ho sakti hain. Maslan sab say ehm news jo keh NONFARM PAY ROLL jisko NFP bhi kaha jata hay jo keh USA main har month kay first friday ko 8:30 Newyork kay time per release hoti hay, iska bad aur positive impact hota hay. Ab jis trader ko pata hoga keh ye news is time publish honi hay to woh is news say pehly kisi bhi kisam ki trade nai kary ga balkeh iskay liye khud ko tayar rakhy ga. Jab keh jo inki parwah kiye baghair trade kar raha hoga, aur news kay publish hoty waqat after 2 minute trade 100 say 200 pips tak bhi move kar jati hay, jis say usko ya to profit ho jaye ga ya phir big big loss jo keh account wash bhi karwa daita hay.
Is liye yahan ye bat lazmi yad rakhni hay keh fundamental yani bunyadi analysis ko kabhi bhi ignore nai karna chahiye. Q keh technical analysis per trading order place kar kay bhi fundamental analysis total market ko change karny ka sabab ban jaty hain. Ab jo trader to fundamental analysis ko zaroori samjh kar trade main care karta hay to woh he achi trade karta hah jab keh jo trader sirf technical analysis yani chart per depend karta hay wo baishtar oqat loss main chala jata hay.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим