Jab bhi trading kertay huay koi trade lagai jaey tou usay ignore nahi kerna chaiye. Traders currencies pay trades open ker kay yeh samajhtay hain kay unhain daikhnay ki zarurat nahi hoti hai kiyu kay unn ka spread bohat Kamm hota hai iss liye aisi trades ko ignore ker kay ya tou profit zaya hojata hai ya phir loss ho jata hai. Traders ko apni open ki hui her trade ko he ehmiat daini chaiye kiyu kay jab koi trade open ker laitay hain tou balance bhi use hota hai aur uss kay saath saath margins bhi use hotay hain tou traders ko apnay account balance ko aisay zaya nahi kerna chaiye aur her trade ko aisay he importance daini chaiye jaisay kisi big trade ko daitay hain tabb he kaamyabi shuru hoti hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим