how can we recover our loss

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #31 Collapse

    Haan g yeh hamarey liye kafi mushkil hota hai waisey successful traders key liye to yeh mushkil nahi hai but hum jaisey beginners key liye yeh bhot mushkil hota hai hum revenge wali trading karna start kar detey hain or isi waja sey he hamien pir losses hotey hain.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #32 Collapse

      loss recover krnay k lie 2 tarikay hain, aap mazeed trading krain profit bnaen r loss recover krain, 2nd r mere hsaab se acha tarika ya hai k aap is chez ko smjhain k loss kyun kia hai us mistake ko cover krain new strategy bnaen and tradaing kr k munafa laen r loss recover krain
      • #33 Collapse

        my dear yeh kehna los ko recover nahi kiya ja sakta mein is baat ko nahi manta jb ap low risk k sath trading krte ho to ap loss recover kr sakte ho but jb ap big risk k sath trading krte ho or ap se big loss hota to phir ap k liye tension ban sakti hai
        • #34 Collapse

          jab ap ko losses hotey hai to ap us ko recover kerne ka nahi socha karey us ko mistake kahen kiyun ke recover kerne main kafi traders aggressive hojatey hai or emotions main ajatey hai jin ka result achha nahi hota hai
          • #35 Collapse

            Forex main wo he success ful hai jis ny forex ko achi thra learn kia ho ga jatna us k pas exparince ho ga wo uthni achi trading kar k achi earning kary ga.forex aik bht acha business hai .aur humain zayda sy zayda hard work karna chyie.tb hum aik success ful trader bany gyn.
            • #36 Collapse

              jiss wakat humari trades me stop loss ka use hona shuru ho jata hota hai us k bad jo bat hume samjhnay wali howa karti hai wo yehi howa karti hai kesay tak hum or kesay hum is business baray kuch karnay me acha samjh sake gay,jiss wakat loss ho jae to preshan na ho bus us ko recover kar seekha kare.
              • #37 Collapse

                Hum loss recover ker sagty hain but humean us main us baat ka kheal rakhna ho ga k aik din main loss recover nahe hota hai ap ko us main mehnat kerna parti hai our slowly work kerna hota hai
                • #38 Collapse

                  brother ager trading mai loss ho jiye tu phir sab say pehlay tu traders ko chiye ke woh us ko recover karnay kay chakar mai mazeed pressure lay kar ghalt trading na he karin tu acha hai . balky traders ko chaiye ke woh profit aur loss ko bohol kar try kairn ke woh achi trading karin .
                  • #39 Collapse

                    Esi baat bilkul bhi nahi hay kay aik baar loss any say dobara profit mushkil say hi ata hay lehaza esa nahi sochna chahiye balkay loss hmesha apni kisi na kisi mistake ki waja say hi hota hay is liye agr ap esi situation face kar rahay hain to ap ko chahiye kay apnay analysis ko review karen karen aur ye dekhne kay ao say mistake kahan pay ho rahi hay
                    • #40 Collapse

                      Loss ko recover krna asan nahi hota aur is key leye aap ko forex trading skills ko seekhna zarori hota hy. Unexperienced traders ko chaheye keh small equity key sath kam karain takeh ziada loss na ho jaye. Aik experienced trader loss ko recover krna janta hy aur woh different strategies aur techniques ko use krtey hoi loss ko recover kr leta hy aur aik acha profit nikal leta hy.
                      • #41 Collapse

                        Agar humy Forex me loss ho jaye to humy zyada tension nah leni chahye q k profit and loss to is business ka aik main part han aur losses ki help se hi humari learning hoti han isi liye humy chahye k hum apni learning o continue rakhy isi trha hi hum is business me trading kar k unlimited profit take kar sakty han.
                        • #42 Collapse

                          Loss ko recover krney key leye forex ka experience hasil krna zarori hota hy. Aik unexperienced trader forex ka ziada knowledge nahi rakhta aur loss ko recover nahi janta, is leye us ko ziada risk nahi lena chaheye. Jitna ziada aap key pas forex market ka knowledge ho ga, utna hi aap loss ko easily recover kr saktey hain.
                          • #43 Collapse

                            ap ko forex men jab loss hota hai tu dear us ko forun recover kerny ki try mat kerien ,is terhan se ap apna or zada loss ker lein gay ap ko chahiey ap us waqt saber se kam lein or jab ap ko dubara signal mily pher hi ap forex men acha earn ker skaty hein
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #44 Collapse

                              G forex trading business jab bhi ap trading karain tu ap ko cahaiye k ap apni trade mein take profit aur stop loss ko use kar k open karain tu ap ko koi masala nhi ho ga kiok agr loss ho ga tu stop loss ki waja se ziada loss nhi hota aur ap ki trade close ho Jaye gi phr ap loss ko cover bhi kar saktay han

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X