Forex trading ab ziada ter mobiles pay he ki jaa rahi hai. Mobile trading nay bohat asaania ker di hain aur traders nay bhi bohat si cheezoo aur eham points ko ignore kerna shuru ker dia hai. Jinn mai sub say ziada eham tools stop loss aur take profits hain jinhain traders nay totally ignore ker diya hai jiss ki wajah say losses ki ratio barh chuki hai. Traders yeh samajhtay hain kay mobile kiyu kay her waqt unn kay paas hota hai iss liye take profit aur stop loss ki zarurat nahi parti laikin ziada ter traders trade laganay kay baad kisi masrufiat mai usay monitor kerna bhool jatey hain aur apnay accounts mai bohat loss ker laitay hain. Forex trading mai traders ko account ki safety ko ki is bhi wajah say ignore nahi kerna chaiye aur na he safety aur security ko compromise kerna chaiye
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим