Forex Trading me nafa aur nuksan is buisiness ka lazmi hisa hai aur hamen is me kisi bhi side pe jane pe razi hona chaheye. Profit aur Loss har karobar ka lazmi hisa hai. Kuch karobar me nafa aur nuqsan kam hota hai aur kuch me zyada. Jin karobar me nafa aur nuqsan kam hota hai to us me risk bhi kam hi hota hai lekin jis karobar me nafa aur nuqsan zyada hota hai to us me risk ya khatra zyada hota hai. Forex trading me nafa aur nuqsan zyada hota hai to is waja se is ka risk bhi baqi karobar ki nesbat zyada hota hai. Lekin har karobar me nuqsan ko kam karne aur nafa ko barane k leye khas usool hoten hen jo forex tradding me bhi hai. Agarr hum un usolon pe chalengy to hamara bhi nuqsan kam aur faida zyada hoga. Hamen kabhi bhi forex k usool nahi thorne chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим