Forex trading aik aisa worldwide business hai jiss mai traders ko her waqt seekhna parta hai. Aur seekhnay say he business acha hota hai. Issi tarah trading kay doraan bohat say traders loss ya profit honay pay emotional ho jatey hain aur phir jald baazi kertay hain jo loss recover kernay mai jaldi ya phir jaldi jaldi mazeed profit gain kernay kay liye emotional trading shuru ker daitay hain. Emotional trades ko bohat ziada losses hotay hain aur phir woh apnay loss ko recover kertay kertay experience gain ker rhaye hotay hain. Aisay traders ko bohat ziada losses say samajh aati hai kay emotions ka Forex ya kisi bhi business mai sirf nuqsaan he hota hai. Emotional traders loss kay baad seekhna shuru kertay hain
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим