Forex trading mai analysis mukhtalif tareekoo say kia jata hai. Aur analysis ki teen main types hain. Jinn mai fundamental analysis, technical analysis aur sentimental analysis hotay hain. Her analysis ko kernay ka apna aik waqt aur tareeka kaar hota hai jiss ko traders apni aqal aur samajh kay mutabiq kertay hain. Technical analysis market ki movement ko daikh kay trends ko observe ker kay kiya jata hai. Demo trading account mai traders best tareekay say technical analysis ker saktay hain aur traders ko ziada faida bhi technical analysis mai he hota hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим