Asalam o alaikum dear forex members mein jo bat ap logo se share karna chhata hu wo yeh ha ky forex mein kamiyabi ky sath sath nakami ka bhi samna krna par sakta ha. Apko nakami apki apni waja se hoti ha. Jb banda ****h mind ky sath kaam ni karta ha to wo puri tarh focus ni kar pata jiski waja se uska kaam bhi acha nahi hota. Is ley humein chaiye ky hum forex par fresh mind ky sath tention free ho kar kam krein. Isky ilawa forex pr nakami us waqt hoti ha jb ap kaam ky doran mistakes karty han jinki waja se apko loss ka samna krna partha ha.ab sawal yeh paida hota ha ky in mistakes ko khatm kese kea jy to dear members apko chaiye ky hardworking karein or apni mistakes ko khatm karin . Isky ilawa jb banda experience ky baghair kaam karta ha to wo kamiyab ni ho pata insan ko chaiye ky trading shuru karny se pehly achi tarh kaam ko seekhy or osky bad kaam start kary. Ager ap waqei aik kamiyab trader banna chaty han to in bato par lazmi amal karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим