Forex Trading me agar lalach jese masle oe control hasil karna hai to apne account k leverage ko jitna ho sake kam rakhen to is tarah se hi mehfoz trading ho sakti hai. Warna is ka dosra koi hal nahi hai. Lalach aik aisi bala hai jo hamen aksar awqat acha munafa loss me convert kar deta hai. Forex trading bohut risk bari karobar hai. Is me market ka koi pata nahi chalta k wo kab kis time karwat badal deti hai. Baaz awqat acha khasa profit loss me chala jata hai. Hamen trading k dowran jo maqsad select keya ho hal haal me zarori nahi k wo target pora ho jaye. Q k aksar awqat profit hamare target k qareeb se wapis ana shoro kar deta hai aur ulta hum bohut nuqsan uthate hen. Lalach k chakar me aksar hum jaldi me bhi trade kar jate hen jo nuqsan deh amal hai. Is waja se jo munafa mele us pe shukar hona chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим