Forex Trading me aksar me ne observe kia hai k repeated mistakes ki nuksan aksar us k pehle nuqsan se ziada hota hai. Is leye hamen is me kaam karte waqat apne mistakes ko har mumkin sorat me contrl karte rehna chaheye aur jo bhi ghalti hamen nuqsan de us ka hamen proper record hona chaheye aur us ko hargez dobara zyada nuqsan k leye repeat na ki jayen to ye hi asal hamari kamyabi hoti hai.Forex trading me ghalti choti ya bari nahi hoti bas ghalti ghalti hoti hai aur is ka chota ya bara hona is k nuqsan pe depend karta hai k wo nuqsan kitna deti hai. Is waja se ghaltion se seekhne ki koshash karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим