loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?
    friends forex main jab bhi loss hota ha tu forex main jab ham loss ko recovery karny lagty hain tu trading main aur ziada loss ho jata ha asa kyon ky hota hai aur is say ham kesy bach sakty hain please guide me.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

    اصل پيغام ارسال کردہ از: Umairafzal456 پيغام ديکھيے
    friends forex main jab bhi loss hota ha tu forex main jab ham loss ko recovery karny lagty hain tu trading main aur ziada loss ho jata ha asa kyon ky hota hai aur is say ham kesy bach sakty hain please guide me.
    Ji ap nay bohat hi important question kia hay loss ki recovering kay baray main aor mazeed loss kay baray main. Forex trading pehli to bat yeh dekhni hay k loss hota qun hay loss honay ki kia wajohat hain kia loss trader ki apni mistakes ki wajah say hota hay ya phir kisi aor wajah say agar trader ki apni hi mistakes ki wajah say loss hota hay to trader ko agli trade open karnay say pehlay en mistakes ko poori taran understand kar kay remove karna chahiay es kay bad loss ko recover karnay kay liay trade lagani chahiay agar aisa na kia gia k mistakes say avid na kia gia ya phir mistakes kay baray main jananay ki koshish bhi na ki gai to phir bar bar loss hi ho ga aor loss recover honay ki bajay mazeed ho jay ga aor baz dafa to ziada loss ki wajah say account bhi wash ho jata hay es liay behtar yahi hay kpehlay loss ki wajohat dekhi jayin aor phir en wajohat ka hal nikal kar next trade loss ko recover karnay kay liay ki jay.
    • #3 Collapse

      Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

      اصل پيغام ارسال کردہ از: Umairafzal456 پيغام ديکھيے
      friends forex main jab bhi loss hota ha tu forex main jab ham loss ko recovery karny lagty hain tu trading main aur ziada loss ho jata ha asa kyon ky hota hai aur is say ham kesy bach sakty hain please guide me.
      dear brother your trader is market me loss recover karna chahta hai usko chahie ki sabse pahle loss recovery ka ek trading plan banaa Le aur uske liye hadse is market mein trade Karen jab aap loss recover karna chahte hain to usmein aapko money money mere ko follow karna hoga aur aapane is market mein pahle Jo mistakes ki Hain jinki vajah se aapko loss hua hai vah mistakes repeat nahin karni is tarah aap mujhe dost se Ban sakte hain agar aap is market mein mistakes karte rahenge to aap kabhi bhi apna loss recover nahin kar sakte aapko chahie kya aap is market mein school ke sath kam Karen aur kabhi bhi jald baji na Karen agar aap jaldbaji karenge to apne dost ko recover karne mein aap kabhi kamyab nahin ho sakte isliye aapko planning karni chahie aur Cheetah tab lagani chahie jab aapki trading strategy ke liye hath se trade ban rahi ho.
      • #4 Collapse

        Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

        اصل پيغام ارسال کردہ از: Umairafzal456 پيغام ديکھيے
        friends forex main jab bhi loss hota ha tu forex main jab ham loss ko recovery karny lagty hain tu trading main aur ziada loss ho jata ha asa kyon ky hota hai aur is say ham kesy bach sakty hain please guide me.
        Dear brother aapane bahut hi technical question Kiya Hai Kyunki Jab Ham nuksan recover karne ki koshish kar rahe hote hain aur usmein ham Aur Bhi Jyada nuksan kar Jaate Hain to uski Kuchh main reasons hai jo main aapke Samne indicate kar deta hun agar aap en reasons ko khatm kar denge to aap ka Majid nuksan Nahin hoga.

        Stress:
        Dear jab aap nuksan recover kar rahe hote hain to aap bahut success hote hain Kyunki aapko Jo nuksan Hua hota hai usmein aapane tension bhi Hui Hoti Hai Jiski vajah se aap stress la lete hain aur aap ek galat decision Le Lete Hain.

        Limited Account Balance:
        Dear brother Jab aap nuksan recover karne Lagte Hain To usmein aap ko is Baat Ka Khyal Rakhna chahie ki aap ka account balance Jyada Hona chahie Agar aapka account balance thoda hoga to ho sakta hai aap aur bhi nuksan kar jaen aur aapka nuksan recover na ho sake.

        Lack of Knowledge:
        Dear brother job of nuksan ko recover karne ke liye proper planning aur strategies ke sath Kam Nahin Karenge to aap kabhi bhi nuksan ko recover nahin kar sakte isliye aap proper knowledge Hasil karne ke bad Hi nuksan Ko recover karne ki koshish Kiya Karen
        • #5 Collapse

          Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

          Forex trading mai traders ko stress ki wajah say bohat loss hota hai. Aksar traders aik trade mai loss honay pay usi waqt uss loss ko recover kernay kay liye trade open ker laitay hain jo aik negative approach kehlaati hai. Forex trading mai kisi trade mai loss ho raha ho aur account balance bhi mojud ho tou uss trade ko kabhi close he nahi kerna chaiye sirf wait kerna chaiye kiyu kay bohat si trades bohat ziada loss mai janay kay bawajud bhi recover ho jaati hain. Laikin Agar loss waali trades ko close kerna bhi hoto phir bohat soch samajh kay he kerna chaiye aur uss kay baad loss ko recover kernay kay liye uss say bhi ziada he sochna chaiye. Traders kay liye profit earn kerna asaan hota hay laikin loss ko recover kerna ziada technical point hota hai.
          • #6 Collapse

            Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

            Dear is market mein jo trader na loss recover kar raha hota hai usko sabse pahle Soch samajhkar yah decide karna hoga ki Uske account per loss ko kaise recover karna hai agar vah pahle Ki Tarah Hi Kam Karta Rahega yah is market mein Aisi trade lagaega Jin per usko confirmation Nahin Mili To vah is market Mein Masjid loss Karega agar aap is market Mein Apne dost ko recover karna chahte hain to hamesha apni trade ke sath take profit use Karen isase aap apni trade per Achcha profit Hasil kar sakte hain aise hi jo header is market Mein discipline ke sath kam Karte rahte hain vah Ek Din Apna Sara loss recover kar lete hain aur is market Mein acche trader Ki Tarah Kamyab ho Jate Hain agar aap Himmat Rakhenge Aap Bhi Kamyab Ho Jaenge.
            • #7 Collapse

              Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

              اصل پيغام ارسال کردہ از: Umairafzal456 پيغام ديکھيے
              friends forex main jab bhi loss hota ha tu forex main jab ham loss ko recovery karny lagty hain tu trading main aur ziada loss ho jata ha asa kyon ky hota hai aur is say ham kesy bach sakty hain please guide me.
              Dear trading Mein loss hone Ki Sabse Badi vajah aapka market mein experience Ka Na hona hai Jab aapko market mein experience Nahin hoga to aapko ismein bahut hi ho sakta hai aur agar aap log ko recover Karte Hain To usse aapko Majid Agar loss ho jata hai to aapko apni trading strategy per Gaur karna hoga aur uske mutabik kam karna hoga agar aap apni trading strategy ko kam Karte Hain to aapko ismein experience Karke kam karna hoga tab aapas mein accha profit banaa sakte hai.
              • #8 Collapse

                Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

                hamy loss ko recover karna ho ga pher he hum kam kar kybonus kama saky gy hum is mi live kam kar sakty hain hum gar mai bath kar is mai kam kar sakty hain hamy is mai market ke movement ko samj kar km karna ho ga pher he hum pasia kaam saky gy hum is mai apne marze sy time tbale bana kar kam kar sakty hain hum is mi agar kam karty howe market ky kise rule ko igore kar dety han t hamara account bad ho jy ga hum is mai apnybos spa he hoty han is ko samjna aik dn ka kam nahi hain hm is mai agar laachi ban ky kam karty hain t hamara account badn ho jy ga market mai mistakes ke waaja sy hamy los ho jata hain hamy soch samj kar is ma kam karna ho ga hum is businss ko apna life tiem career be bana sakty hain asane sy
                الحمد لله رب العالمين

                • #9 Collapse

                  Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

                  Dear jab kisi trade mein loss ho jata hai tu loss ki waja se trader par kafi pressure hota hai aur already loss ki waja se account balance bhi kam ho chuka hota hai aur wo loss ko recover karny k liye emotional bhi hota hai jab aur jald bazi aur emotions ki waja se jab wo loss ko recover karny ki koshish karta hai tu kafi mistakes karta hai jis ki waja se loss recover karny ki koshish mein wo aur zayada loss kar deta hai wo mistake ap k sath share karta hon
                  Sab se bari ghalti tu ye hai k loss ki waja ni dekhty k kis waja se loss hua hai sab se pehly loss ki waja maloom karyn aur jis mistake ki waja se loss hua uski correction karyn
                  Aur apny emotions par control rakhyn emotional trading ki waja se aur zayada loss hota hai
                  Aur lot size ka khyal rakhyn loss recover karny k liye bari lot na lagayn
                  Aur analysis kiye baghair trade mat open karyn loss recover sirf mehnat se aur achi good planing se hota hai
                  • #10 Collapse

                    Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

                    Asslam o alikum umed krta hun ap sab kheriyat sy hun gy or sab bhiun ka kam bhi acha ja rha ho ga jesa k bhai ny kha loss recover k bary main sab sy pehly tu yh dwkhin apny kahan galti ki or apko loss hua or us galti ko dur krein jkd baazi na krein trade ko chalny dyein loss py kbhi na rokyn dusri bat jb bhi tard lgao tb market ko smjho k es wkt kesy chal rhi hai us k mutabiq tard lgao umed krta hun ap agr meri bat manyn gy tu kbhi loss nh ho ga shukriya
                    • #11 Collapse

                      Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

                      Forex trading may jab traders ko apni trade may loss hota hay to trades already stress may ajatay hay loss ki waja say Kyu Kay loss ki waja say appka account balance bhi loss may Chala jata hai aur zayada tar traders loss ko recover karney may jaldy jaldy Kartay hoye trading kartay hay y unko ake loss ki will say aur zayada loss uthana parta hai forex forum pay trading kertay hoay traders ko apna temper loes nai karna chahiye Kyu Kay traders jab temper loes kartay hay to unko profit Ki bajay nuksan hota hay training may traders ko chahiye kay wo apni nakami ki waja aur mistakes ko seriously cover karney ki koshish kerni chahiye aor traders ko loss cover karney Kay liye emotional trading say avoid karay aur chotay lot size may trade open karni chahiye forex trading may loss honey ki waja knowledge aur information ka na hona hay haumay apna knowledge aur learning ko improve kartay hoye trading karni chahiye phir hi haum loss say bach saktay hay .
                      • #12 Collapse

                        Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

                        G dear asal mai waja ye hoti hai kay jub humara lose hota hai tu hum es mai kafi parshan ho jatye hain aur esi parshani mai hum kosesh kartye hain kay humara lose recover ho aur jaldi mao recover ho asal waja hoti hao kay hum apna lose jaldi mai recover karnye ki kosesh kartye hain jis ki waja say kafi masla ban jata hai aur humarye lose mai izafa he hota hai tu humara kam hao kay jub market mai humain lose ho jata hao tu dubara kosesh karain kay ye lose na ho kiyu kay lose recover karna hai tu ap ka kam hai kay ap trade ko hold kar kay es mai thorha recover karna shuru kar dain ager ap es tarha kam karqin gaye tu ap ka faida he faida ho ga tu apna kqm qcha karain aur mahnet kay sath karain ta kay bad mai ap kamyab ho jain
                        $$$ Never Give Up $$$
                        • #13 Collapse

                          Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

                          Asalam o alikum friend ap ny bilkal tek kaha hy k ham forex trading business m jb loss karty han to is ki wja hmari over trading b ho skti hy km knowledge nakafi experience or bot km learning b ho skti hy or ham hmasha loss karny k baad usy jaldi sy cover krny ki koshish m lagy hoty han or hmari yahi jaldi hamy nuqsan ponchati hy k ham is m loss cover krny k bjaiy or zyada loss karty rahty han hmary dobara loss karny ki wja ye hoti hy k ham bari bari trades lga kr isy cover krny ki koshish karty han jis k ntejy m bhari nuqsan hota hy ya ham trades par trades open karty jaty han or bagar sochy smjy trades open karty han jis ka nuqsan ye hota hy k ham sy galt trades open hoti rahti han or ham dobara loss karty jaty han hamy hmasha soch samj kr apny loss ko cover karna chaiy anylyses ko study kr k or market k up down ko dakh kr trading karni chaiy jis sy hmara loss cover ho saky
                          • #14 Collapse

                            Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

                            Asalam o Alikum dear Forex friends and dear members umeed ha kay ap sab theek hon gay g bhai jan asa bohat zyada huta ha q ka jabb hamy asi markit ma losse hu jata ha to hamy bohat zyada nusan huta ha or ham es ko jald cover karna ki khuch karta han or esi losse ki waja ko ham talash nai karta ka kis waja sa howa ha but ham ya dakhta han esy foran ham recover karan agr ham es ko cover karna sikh jata han to es ka liya hamy himat ki zarort huti ha markit ma achy kam ka liya zyada sa zyaa mehnat karna huti ha es ko cover karna ka liya hamy losse ko cover karna ha to es ka cover karna ma koi bi jaldbazi nai karni hu gi
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: loss recovery karny say mazeed loss hony ki reason kia hoti hai?

                              Loss recovery ki jaye to per be market ko asaan nahi samjna chaye aur trading ko easy be nahi lena chaye, kesi trade me profit earn karna to asaan hota hay magar loss recover karny par traders par pressure hota hay es ley kabi be trading ko easy nahi lena chaye, agar market ko easy leya jaye aur trading ko be asaan samji jaye to loss recovery karty time be traders ko mazeed loss ka samna ho sakta hay, loss recover karny par traders ki strategy unique hona zarori hay aur loss ko jab be recover kia jaye to risk ka khayal zaror rakna chaye aur kabi be zeyada risk leny ki koshish be nahi karni chaye.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X