Forex Trading me market ki situation kabhi bhi aik jesi nahi rehti bulke ye up down hoti rehti hai aur kabhi kabhi to ya to bohut up jati hai aur ya bohut down. Aur aisa bhi hota hai k ye yakdam up ja ke wapis achanak yakdam neche a jata hai. Is waja se jab hum trade lagayen to us k bad us k lazmi monitor karte rahen aur trade ko apni nazron se ujhan na hone den. Is waja ye hai k jab hum trade lgayen to ho sakta hai k aik jagah pe is ki value hamen matlboa profit de rahi hoti hai aur agar hum monitor nahi karten to wo chance hum miss kar jayengy aur may be k bad me wo values kafi change ho chuki hogi jo k nuqsan me chali gaye hongi to trade ki monitoring karna bohut zarori hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим