Dear traders, running candle ka matlab hai ke market ka ap ko bilkul nahi pata ke running candle ke sath wo kiya kare ge. Ager wo strong bearish mein jaa rahi hoti hai tu jab close hoti hai tu wo bullish mein ho jati hai jo ke neechy strong wick de jati hai. Jo ke bullish ka signal ha. Lekin ager ap ne running candle pe us waqat sell ki trade laga jab wo strong bearish mein jaa rahi thi tu ap ko candle ke close hone per loss ho jaye ga. Es liye running candle ka kuch pata nahi hota ke wo kidher close ho ge. Jiss wajah se traders ko chahyea ke wo wait karaen candle ke close hone aur next candle ke open pe decision laen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим