Salam doston boht se trader tp hit hone ke chakr mein hath aya huwa profit waste kr deten hain yad rakhen forex ki market kabhe bhe ek jesy nahe hoti aur na market ka trend ek he side per move krta hai jub market ki direction change hone lagti hai to pata bhe nahe chalta forn market ki direction change ho jati hai aur aap ki trade profit waly loss mein aa jati hai kyunki market ek cheez ya ek points ko nahe dekhte har ek points aur tools market ke liye important hai jis ka asar market per acha khasa parta hai market ko har angle se dekhna aur samjhna hoga aur kabhe bhe tp hit hone ke chakr mein nahe rehna chahie jub aap dekehn market ki direction change hone lage hai to forn aapni trade close kr dain aur jo hath mein profit aya hai ose accept karen tabhi aap kamiyab ho payenge
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим