Bhaio, agar ap nay forex trading karnay ka irada kar hi lya hay to apna mind bana lo, bohat sari learning karna hogi, bohat sari practice karna hogi, aur bohat sara time spend karna ho ga is market may, yeh market koi choti moti market nahi hay, is ko cover karna bohat mushkil hay aur is may kai saal bhi lag saktay hain, lakin yeh zaroor hay keh agar musalsal lagay rahay to kaafi kuch hasil kar lo gay.
Seekhnay k lye forex basic say shru karo, jis may yeh pata ho k actually forex hay kia aur ko kia kaisay jaye. Us k baad yeh seekho keh meta trader ko use kaisay kia jaye, aur strategies kia hoti hain, phir yeh seekho keh meta trader may kon konsay options aisay hain jo bohat kaam k hain, phir demo account banao aur us par practice karo, seekho sab say, jo kuch bhi seekho wo demo accounts par lazmi practice karo. Aur mumkin ho sakay to dosro say bhi share karo, kyo keh share karnay say learning aur mazboot hoti hay.
Is k baad ap indicators ko learn karo, aur sath may yeh bhi seekho k strategy build kaisay ki jaye.
Yeh meri advices hain ap k lye.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим