Forex Trading business hi risk ka hai aur jab hum is me kaam karte hen to lazmi nahi k har baar hi kamyab rahengy bulke nakami ya loss bhi ho sakta hai. Is waja se hamen strong rehna chaheye har sorat me nakami bhi hoti rehti hia. Forex Trading aik karobar hai aur is me profit aur loss dono ho jate hen. Lekin hum ye business sirf profit hi ki neyat se karte hen. Lekin baaz dafa hamen loss bhi ho jat hai. Loss k aam tawar pe chand common se wajohat hai jis ki waja se ye hota hai. Market analysis aur news k bagher trading karna, trading hamari analysis k opposing hone pe hamara emotional ho jana aur mazeed nuqsan karna, lalach me a kar kam profit na lena aur ulta nuqsan ho jana. Overtrading kar jana. Take Profit aur Stop Loss ka options na lagana. Ye chand aik wajohat hai nuqsan hai jos ki waja se nuqsan ho jata hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим