Forex Trading me ye do cheezon se mel kar bana hai. Analysis aur Market news. Agar hum ne kamyabi hasil karne hai to ye dono se waqif hona parega. Forex Trading me analysis k bagher trading karna aisa hai jese apne paon pe kulhari marna. Is se hen sirf nuqsan k elawa kuch bhi nahi melta. Agar trading bagher analysis k kamyab hoti to pori dunya is karobar me shamil hoti. Lekin is me risk bohut hi ziada hai aur wo risk sirf aur sirf market news aur analysis hi k zarye se door keya ja sakta hai. To koshash karen k bagher analysis k kabhi bhi trade na karen nahi to bohut nuqsan uthana parega. Market news pe nazar rakhna bohut bari khobi hai. Market news hi aksar awqat hamare analysis ko nakam banati hai. Is ki waja se forex trading me bohut zyada taghayur peda hota hai. Forex trading k commodities to sare ka sara market news k zere asar hota hai. Aur is me market me changing ki waja se bohut values apni position tabdeel kar deti hai. Agar market news k sath hamare analysis bhi itefaq kar jaye to is se hamen bohut zyada faida mel jata hai aur hamara target bohutvjald achieve ho jate hen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим