Dear traders, aj kel log jab bar bar try kerny ke bad bhi kamyab nahi hoty tu wo copy trading ya phitlr account management ki taraf bhagty haen. Es ki wajah yehi ho sakti hai keh jab aik new trader apni learning aur practice ko sahi tarha time nahi de paata tu wo bar bar fail hota ha us ki lalach usy learning aur practicing ki taraf Jane hi nahi daiti. Aur wo trading ker ke paisy kamany ki lalach mein bar bar fail hota rehta hai. Aur phir akhir mein usy yehi aik hal nazar atta hai ke wo account ko manage kerwa le.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим