Dear traders, weak trades hamaisha humaen nuqsan pounchati haen. Aur weak trades wo hoti haen jin ko open kerny mein ap confuse ho jaty ho. Ap ko sure nahi hota ke trade profit de ge. But ap profit ko miss kerny se bachne ke liye trade open ker daity ho. Agar ap chahte haen ke ap hamaisha strong trades hi open kraen tu yeh practice ap ker laen kuch arsa ap ko yaqeen ho jaye ga ke weak trade kabhi bhi profit nahi de sakti. Ap demo account open karaen aur real account pe bhi trade kerty rahaen. Ap jis trade mein confuse hoon us ko demo pe open kerna ha. But real pe open nahi kerna. Real pe sirf strong trades ko open karaen. Ap maheena yeh practice karaen aur results daikhaen dono ka. Ap daikhaen ge ke real pe ap ne bahut kem trades open ki hoon ge. But ap kamyab hoon ge aur demo pe ap bahut sari trades open ker ke bhi nuqsan mein hoon ge. Mein ye ker raha hoon aur results esi tarha aa rahy haen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим