Fundamental analysis kia hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Fundamental analysis kia hay?
    Me senior traders se ye request karta hon key wo es bary me apna knowledge share karen key market ka jaiza ham fundamental analysis key base par kesy le sakty hey?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Fundamental analysis kia hay?

    asslam o alikambhai ap analysis k topic k poer bat krna chahte hein dear analysis hi hein jis ko fallow kr k hum is main kameyab ho sakte hein hume is main do analysis ko trade lene se phaly lazmi fallow krna hota ha is main eik tu tecnical analysis hai ur dora fundamental analysis hein in dono ko fallow kr k hum market ki next movement ka anadaza laga sakte hein hume daily main kam krna chaiye ur is main knowledge hasil kr k kam krna hota ha dear hume pta hona chaiye k hum agr currency trading kr rhe hein tu phr hume tecnical analysis py zada focus krna hota ha ur agr hum oil main tarding krna chahte hein tu os main hume fundamental analysis ka use krna lazmi ha is main kameyabi k liye hume phaly dori lerning krni lazmi ha tab hi kameyab be ho sakte hein is business main
    :1f60d: hard work :1f60d:
    • #3 Collapse

      Re: Fundamental analysis kia hay?

      Fundamental analysis trading mein bahut jyada useful hote hain ya Kisi bhi country ki economy Ko Dekhkar banae Jaate Hain isliye Hamen Hamesha chahie ki Ham kabhi bhi bahut jyada risk Lekar na Karen fundamental analysis per ke Hamen trading Karni chahie Aaj Kal technical analysis trading Mein itne Jyada useful Hain jitne Jyada fundamental analysis useful nahin hai isliye aajkal trading karne ke liye Hamen Jyada help fundamental analyser se leni chahie aur acchi trading karne ke liye acchi practis karna bahut jyada important Hota Hai
      • #4 Collapse

        Re: Fundamental analysis kia hay?

        اصل پيغام ارسال کردہ از: aamir370 پيغام ديکھيے
        Me senior traders se ye request karta hon key wo es bary me apna knowledge share karen key market ka jaiza ham fundamental analysis key base par kesy le sakty hey?
        Fundamental analysis trading mein bahut jyada useful hote hain ya Kisi bhi country ki economy Ko Dekhkar banae Jaate Hain isliye Hamen Hamesha chahie ki Ham kabhi bhi bahut jyada risk Lekar na Karen fundamental analyzers Karke Hamen trading Karni chahie aajkal technical analysis trading Mein itne Jyada useful Hain jitne Jyada fundamental analysis useful nahin hai isliye aajkal trading karne ke liye Hamen Jyada help fundamental analyser se leni chahie aur acchi trading karne ke liye acchi practis karna bahut jyada important Hota Hai
        FRD 07 TRADING JOURNAL
        • #5 Collapse

          Re: Fundamental analysis kia hay?

          اصل پيغام ارسال کردہ از: aamir370 پيغام ديکھيے
          Me senior traders se ye request karta hon key wo es bary me apna knowledge share karen key market ka jaiza ham fundamental analysis key base par kesy le sakty hey?
          Dear ais market mai kaam karny k liay ap ko fundamental analysis agar karny hai to ais mai ap ko jis pair par trade karni hoti hai aus currency k bary mai study karni hoti hai aor ye dekhna hota hai k ye currency strong ho rahe hai ya weak ho rahe hai aor sath ye check karna hota hai k koi ais event to nai aa raha jis mai ye currency weak ho sakti hai aus k hisab se ap ais market mai trade lagaty hai ap ne agar ais market amki mehnat karni ho to ap ko ais market mai soch samjh k trade karni hoti hai aus k baad ap ais market mai achi trades laga sakty hai ais market mai ap ko fundamental k liay study zayda karni hoti hai aor chart ko dekhny ki zarort nai hoti ap ais mai trade laga skaty hai aor apny knowledge k hisab se trade se profit lety hai.
          • #6 Collapse

            Re: Fundamental analysis kia hay?

            Dear apko pata hona chahye k market mein aam tor par maximum 2 tarha k analysis kiye jaty hain aik tu technical analysis hoty hain jo chart bana kar kiye jaty hain aur mostly traders technical analysis he karty hain but doosry type analysis ki hoti hai fundamental analysis aur ye wo analysis hoty hain jo economic calander par news ko follow kar k kiye jaty hain tu jo traders fundamentala analysis karty hain wo bhi acha profit kama lety hain kyun k jab market mein news ati hai tu market ki movnement bahut fast ho jati hai aur kuch he time mein acha profit ho jata hai but bews time trading risky hoti hai aur dear fundamental analysis karny k liye apko har currencey k sath tuch rehna parta hai aur news aur speach k sath tuch rehna parta hai k kon c country ki currency up ja rahi hai ya kon c weak ho rahi hai kyun kisi bhi country k economic halat tab distrub hoty hain jab ko political parties k issu banty hain ya phir jaisy aj kal lock down hai air karobar band hain tu kafi sari markets crash hoi hain tu aisi informations fundamnetal analysis mein helpfull hoti hain aur trading mein behtri aa sakti hai
            • #7 Collapse

              Re: Fundamental analysis kia hay?

              g bhai jahan tak fundamentals analysis ki baat hai tu fundamentals base karta hai news kai oper jo kai different sites per shaya hoti hain daily basis per jin main 3 kisam ki news hoti hai low impact, medium impact aur high impact aur news shaya honay kai bad jab market move karti hai tu us kai analysis ko hum fundamental analysis kehtay hain aur buhat kam traders hotay hain jo fundamentals kai oper trading karna pasand kartay hain aur mostly senior traders technical trading hi kartay hain support aur resistance ko dhaikhtay howay because fundamentals kai oper market main volatility buhat zaida barh jati hai aur movement taiz honay kai buhat zaida chance hotay hain aur some time market crash bhi kar jati hai with no time jis ki waja say hum apni trades ko control nai kar patay aur apna account wash karwa bhaithatay hain. main bhi agar personaly bataon tu main fundamentals kai oper trades karna pasand nai karta aur mostly support aur resistance ko dhaikhtay howay hi trades lagata hon tu ap say bhi yehi request karon ga kai fundamental analysis ki jaha technical analysis kiya karain aur us kai mutabiq trading karain.
              • #8 Collapse

                Re: Fundamental analysis kia hay?

                jub traders fundamental analysis kartay hain tu traders jis currencies pairs me trades open kartay hain os currency ki country ki economy ko analysis kartay hain economy me boht zeyda factors hotay hain jo asar andaz hotay hain
                example
                jaisa kay jub fundamental analysis manufacturing index ko analysis kartay hain tu traders yeh dekhtay hain kay is country ki manufacturing pehle se increase hui ha down ager manufacturing increase hoti ha tu yeh is bat ka ishara hota ha kay export bhi increase hu gi or economy strong ho gi jub economy strong ho gi tu currency bhi strong ho gi or traders ko direction mill jati ha kay currency kis taraf movement de gi is tarah traders fundamental analysis kar kay market ki movement ko judge kar kay trades open kartay hain
                • #9 Collapse

                  Re: Fundamental analysis kia hay?

                  Dear brother ap ki bat bilkul theek hey forex trading men achi aur kamyab trading karnay k liay market ka mukaml anaylsis karna zaroori hota hey aur jo log market men bagher anaylsis k trade open kartay hen woh loss uthatay hen aur jin logon k pass market ko analysis karnay ka experience nhi hota iss liay woh jaldi nakam ho jatay hen aur forex trading men pahlay market ka mukaml anaylsis karna seekhen aur iss technical anaylsis karen aur phir trading chart ko dekh kar trend ko follow karen aur news aur signals check karen aur phir apnay balance aur experience k hisab se lot size select karen tu zaroor kamyabi hasil kar saktay hen lekin jo log fundamental ya technical anaylsis kartay hen woh yakeenan achi trade open kar saktay hen aur aesa sirf expert traders hi kar saktay hen aur jin logon ko market ko analysis karnay ka experience mil jata hey woh zaroor kamyabi hasil kar letey hen
                  • #10 Collapse

                    Re: Fundamental analysis kia hay?

                    wesy to analysis k 3type hai jin main 1.technical analysis 2.fundamental analysis 3.santimental analysis shamil hai magar jo method sub sey ziada acha or profit deny wala hai wo fundamental analysis hai expert or profisional traider isi method ki madad sey traide ko opan karty hain or acha profit hasil karty hain is mthod ka usse ham without experiance nahi kar skty hain agar ham bhe fundametals analysis sey faida uthana chahty hain to ham ko chahi hai k phily ham is par perctise kary os k bad real par work kary perctise koch is trha sey karni hai .
                    forex news jahan par upload hoti hai reguler os ka vist karna hai , yahan sey ham ney jis currncey pair ki news ho os ko likh lina hai wo kise din ai or os ki value kiya thi sub koch apney pass likh lina hai or jo news k oper ham ny traide lagaii os ka result bhe note kar ley jab next osi type ki news ay ge to phir ham faida utha sky geyai os news sey ..fundamental analysis ko smjhny par thora time lagata hai but yeh profit bahot acha diti hai .
                    information for Beginners
                    Complete Forex Knowledge
                    • #11 Collapse

                      Re: Fundamental analysis kia hay?

                      ANALYSIS
                      dear friend forex trading Mein do tarha KY analysis ka hum istemal krty hain jis ki help see hum yeh dekhty hain KY markeet kis direction Mein move kr rahe hai aur next is ki movewkiya ho sakti hai aur usi analysis ki base par hum ache entry wali jaagh par apni trade open krty hain ta ky hum ache trading ko asaani see possible bana saken aur us ka acha result Hasil krny mein kamyabi ki taraf Ja sake aur analysis ki do types fundamental aur technical analysis hain jis ki base par hum markeet ki movement ko observe krty hain
                      FUNDAMENTAL ANALYSIS
                      dear aap ne poocha ky fundamental. Analysis kia hai aur is ka istemal dear fundamental analysis hum hmesha news ki base per krty hain hum dekhty hain KY aj kon si news ane wali hai aur us ka Kitna effect markeet par ho sakta hai humen yeh nahi bholna chahie ky news jo bhi ho us ka market par koi na koi effect lazmi Hota hai aur hum us news ky according market ka analysis krty hain ya to hum us news ky Doran trading ko avoid krty hain ya phir apny analysis KY according trading kr KY acha faida hasil krny mein Kamyab ho jaty hain Agar humrin ache trading krni Hai to phir humrin technical analysis jo KY ache trading tools ky according Kiya jata hai aur fundamental analysis dono ko apni trade Mein importance dyny ki koshish Karni chahie Taki Ham acchi kamyabi Hasil kar saken
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        Re: Fundamental analysis kia hay?

                        Dear forex members forex trading may three types Kay analaysis hotay hay aur forex trading may zayada tar traders fundamental analysis aur technical analysis ko istamaal kartay hoye trading kartay hay Kyu Kay jab appko trading may apni trade open karni hoti hay aur haumay uss waqt market ki movement market Kay trends aur saath saath haumay hamesha market ki movement pay effective news ko bhi dekhna hota hay Trading kartay hoye in sab batoo ka knowledge haumay trading may analaysis kartay hoye hasal hota hay Technical analysis haum market ki movement ko monitor karney Kay liye chart bna kar trading kartay hoye istamaal kartay hay aur fundamental analysis ki waja say haum un news aur I ko hasal kartay hay Jo directly aur indirectly market ki movement pay asar karti hay jab haum forex trading may Trading karney Kay liye fundamental analysis aur technical analysis ko study kartay hoye combine istamaal kartay hay to hsmari trading strategy aur planning bohaut zayada strong ho jati hay jiss ki waja say haum trading kartay hoye kamyab hotay hay.

                        Forex trading may fundamental analysis iss liye zarori hota hay Kay fundamental analysis haumay market ki musalsal information dayta hay aur forex trading may haum jo information fundamental analysis Kay through hasal kartay hay to wo bohaut zayada reliable hoti hay.

                        Forex trading may fundamental analysis long term investment Kay liye bohat zayada important hota hay fundamental analysis long term trading karney say capital ko secure tareekay say grow karney may help karta hay.

                        Fundamental analysis ka esa behtareen tareeqa hay jo trading market may kisi bhi currency pair ya commodity ki asal price value ko clear karta hay fundamental analysis finenece facters ko relate karta hay .

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X