Dear friends kal mainay apnay ek teacher ka online lecture suna jis mai wo forex say related bat kar rahay thy, us mai unhonay ek jumla kaha k "forex and Ferrari is not for everyone" mainay unse iska mtlb pocha tu unhonay bataya k jis tarha her kisi k pass ferrari nahi hai usi tarah her koi insaan forex bhi nahi kar sakta, jese insaan thora thora paisa jama kar k ferrari leta hai esi tarah thora thora knowledge or learning kr k trader banta hai, ek dum ya ek din mai koi bhi insaan ka pro trader banna na mumkin hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим