Forex trading me jo sab se aham masla hota ha wo support aur resistance level ki pehchan ha. seniors members ko to pata ha lekin jo new members hain unke leye arz ha k jab buying ziada ho jai to wo jaga support kehlati ha. aur jab selling ziada ho jai to wo jaga resistance kehlati ha. Aap ne dekha hoga k market ek khas level tak move kar jati ha lekin us k baad mazeed ooper nahi jati. ye resistance level ha. market us level ko cross karne ki koshish karti ha lekin jab wo level cross nahi hota to wapsi start karti ha aur ek jaga pher aati ha jahan se neeche nahi jati. ye jaga support kehlati ha. hamain en levels ka pehle se taayyun karna chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим