Dear trader aik ghalti Jo akser trader over confidence ki wajah se kar jaty haen wo yeh hai kay jab un ko kuch trades profit mein close honi start ho jati haen tu wo apny profit ko berha a shuru ho jaty haen es tarha wo apny account ko wipe out kar daity haen. Unhaen lagta hai keh wo Jo trade bhi open karaen gye wo profit mein hi jaye ge. Es liye wo ghalti karty haen aur nuqsan uthaty haen. Mera khayal hai keh jab ap ne aik dafa rules bana diye haen aur apny risk and reward ratio set kar di hai tu phr us pe ammal karna ap ki zimadari hai un ko break na karaen un rules pe amal kar keh ap apny risk ko constant rakhaen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим