Pending order ki b trading mein boht ahmiyat hoti hai hum kisi point per trade open karna chahein to market aur us point per na ho aur humein lagy k humaray internet off karny k baad market us point per pohanch jaye gi aur wo trade humari take profit mein close ho sakti hai to is soorat mein hum pending order set kar dety hein buy mein ya sell mein aur us hisaab se us per phir stop loss aur take profit b set kar dety hein is trah humari trade us point per auto open ho jati hai jis point per hum ne order set Kia hota hai aur stop loss aur take profit set hony ki waja se trade auto close b ho jati hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим