Morning & Evening Star Candlestick Patterns

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Morning & Evening Star Candlestick Patterns
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Morning Star Candlestick Pattern



    Forex trading market mein candlestick analyses traders ko market k bare mein aham prediction deti hai, aur ye bhi aam tawar par aik technical indicator ki tarah se kaam sar-anjam dete hen. Candlestick patterns ki bohut sari types hen, lekin jitne ziada candlestick aik pattern mein hongay, utna hi wo pattern ziada bharemand hoga. Morning star candlestick pattern market main ziada ferokht k baad bearish trend main banta hai, jahan se qeematon ka mumkina tawar oar bullish trend reversal hona hoti hai. Morning star pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad nechay gap main aik small real body wali candle hoti hai, jo k bearish ya bullish dono ho sakti hai. Ye candle aam twar par star candle hoti hai, jiss ka upper aur lower side par small se wick bhi ho sakti hai. Pattern k last par aik aur long real body wali bullish candle hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.





    Candles Formation



    Morning star candlestick pattern teen candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish dosre small candle hoti hai, jo k bullish ya bearish dono ho sakti hai, jab k last par aik bari real body wali bullish candle hoti hai. Inn candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Morning Star Candlestick Pattern ki pehlee candle aik strong bearish candle hotti hai, q k qeematen pehle se hi bearish trend main harkat kar rahee hotti hai, is waja se is candle ka bearish hona zarorri hai. Pehlee candle aik strong aur long bearish trend candle hotti hai, jis ka upper aur lower wick bohut chotta hotta hai.
    2. SecondCandle: Morning Star Candlestick Pattern main dosree candle aik small real body wali candle hotti hai, ziadda tar ye candle Spinning top candle ya isi tarah se dosree candle hotti hai. Candle ka color zarorri nahi hai, lekin is ki position bohut ziadda aham hai, q k ye pehlee candle se down side par gap main open aur close hotti hai.
    3. Third Candle: Morning Star Candlestick Pattern ki teessri candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai. Ye candle bhi dosree candle se gap main up side par open ho kar higher par ja kar close hotti hai. Teesrri candle pehlee candle k real body k 50% se ziadda par close honi chaheye.



    Evening star candlestick pattern



    Evening star candlestick pattern "Morning star candlestick pattern" k bar akas opposite direction main bullish trend main banta hai, jahan se prices bearish trend reversal main change hona shoro karti hai. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss baab aik small candle banti hai, ye candle bearish ya bullish dono ho sakti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jiss k baad prices mumkina tawar par bullish trend de bearish trend main badal jati hai. Bullish aur bearish candle k darmeyan banne wali small star candle dono se upside par gap main banti hai.




    Candles Formation



    Evening star candlestick pattern teen candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bullish dosre small candle hoti hai, jo k bearish ya bullish dono ho sakti hai, jab k last par aik bari real body wali bearish candle hoti hai. Inn candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Evening Star Candlestick Pattern ki pehlee candle aik strong bullish candle hotti hai, q k qeematen pehle se hi bullish trend main harkat kar rahee hotti hai, is waja se is candle ka bullish hona zarorri hai. Pehlee candle aik strong aur long bullish trend candle hotti hai, jis ka upper aur lower wick bohut chotta hotta hai.
    2. Second Candle: Evening Star Candlestick Pattern main dosree candle aik small real body wali candle hotti hai, ziadda tar ye candle Spinning top candle ya isi tarah se dosree candle hotti hai. Candle ka color zarorri nahi hai, lekin is ki position bohut ziadda aham hai, q k ye pehlee candle se upper side par gap main open aur close hotti hai. Dosree candle pehlee candle k shadow ko bhi touch nahi kartti hai. Ye candle bullush aur bearish dono tarah se ho saktti hai.
    3. Third Candle: Evening Star Candlestick Pattern ki teessri candle aik strong bearish candle hotti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai. Ye candle bhi dosree candle se gap main down side par open ho kar lower par ja kar close hotti hai. Teesrri candle pehlee candle k real body k darmeyan se ziadda par close honi chaheye.



    Trading



    Morning star aur evening star candlestick patterns dono trend reversal pattern hen, iss waja se qeemten iss position se rebound hona shoro karti hai, lekin uss k leye kuch zarori conditions hen, jin ka hona zarori aur aham hai. Pehla ye k ye pattern prices k intehaye top ya bottom par banna chaheye, jo umoman indicator ls par overbought ya oversold zone hona chaheye. Dosra patterns par trading k leye trend confirmation candles ka hona zarori hai. Morning star pattern par buy ki entry aik bullish candle k baad hongi, jab k evening star pattern par trading se pehle bearish candle ka confirm hona zarori hai. Trend confirmation candles ka real body main bhi hona zarori hai, jab k pattern k trend k opposite direction k candles banne par pattern ka reaction invalid ho jata hai, jiss par trade entry se parhez karen. Stop Loss ka istemal zaror karen jo k loss se trades aur account ko mehfoz banata hai.


  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    what is morning star and evening star

    sab say pehlay morning star ke details share karte hon morning star candlestick pattern aik kesam ka aisa candlestick pattern hota hey jo keh 3 candlestick par moshtamel hota hey es kesam kay pattern mein aik bullish reversal candlestick pattern hota hey yh forex market mei down trend kay nechay he paya jata hey jes ko mesale tor par dosray indicator kay zarey say he identify keya ja sakta hey

    dosree taraf evening star aik kesam ka bearish reversal candlestick pattern hota hey yeh bhe aik kesam ka bearish reversal candlestick stick pattern hota hey forex market mein evening star ka tren up hota hey or yeh forex market ke price ke direction me mumkana tabdele ko he identify kar sakta hey

    Understanding Morning Star and Evening Star Candlestick pattern

    morning star and evening star candlestick pattern aik kesam ka reversal pattern hotay hein yeh pattern aa tor par forex or stock market mein he daikhay ja saktay hein morning star pattern bearish trend kay end par he zahair hota hey jabkeh evening star pattern bullish kay trend kay end par he banta hey


    Formation morning star pattern

    forex market mein morning star pattern nechay kay trend kay bad zahair hota hey yeh forex mrket kay trend ko mumkaa reversal janaykay bad ke zahair hota hey yeh forex market ka pattern teen kesam ke candlestick par he moshtamel hota hey
    1. es kesa kay pattern mein sab say pehlay aik bare bearish candlestick hote hey
    2. os kay badaik chote candlestick bante hey jes mein aik short body hote hey es ko doji ya spinning top candlestick ka naam deya jata hey
    3. end mein ak lammbe bullish candlestick bante hey jo keh candlestick kay average point kay oper aa kar close ho jate hey
    forex market mein morning star candlestick say pata chalta hey keh market mein bearish ka trend bhe control mein hota hey forex market men bulls apni garaft mein anay lag jatay hein market ka control buyer nay he sanbhal rakha hota hey

    Formation of evening star candlestick pattern

    forex market mein evening star candlestick pattern trend kay oper he zahair hota hey or yeh forex market kay trend kay mumkana reversal jaay ka h eshara hota hey forex market ka yeh pattern 3 kesam ke candlestick par he moshtamel hota hey
    1. es kesam kay pattern mein aik bare bullish candlestick bante hey
    2. es kay bad aik hote bearish ya doji candlestick bante hey
    3. es kay bad aik long bearish candlestick bante hey jo keh candlestick kay average point say nechay aa kar close ho jate hey
    evening star candlestick pattern say pata chalta hey keh forex market mein bear apni garaft mein he aay lagtay hein Doji candlestick ghair yaqene sorat e hall ke taraf eshara kar sakte hey forex market mein bearih candlestick es bat ke taraf eshara karte hey keh forex market kay seller market ka control hasell kar leya hey
    bhali kay badlay bhali
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Morning Star & Evening Star Candlestick Patterns
      Morning Star aur Evening Star candlestick patterns technical analysis mein bohot important reversal patterns hain. Yeh patterns traders ko market ke trend reversal ka signal dete hain aur frequently Forex, stocks, aur commodities trading mein use hote hain.

      1. Morning Star Pattern (Bullish Reversal)

      Morning Star ek bullish reversal pattern hai jo downtrend ke end par banta hai aur price ke upward movement ka indication deta hai.

      Formation

      First Candle

      Ek strong bearish (red) candle jo market ke existing downtrend ko confirm karti hai.

      Second Candle

      Ek small-bodied candle (spinning top or doji) jo indecision show karti hai. Yeh bullish ya bearish dono ho sakti hai.

      Third Candle

      Ek strong bullish (green) candle jo pehli bearish candle ke body ka achha portion cover karti hai, bullish trend start hone ka signal deti hai.

      Trading Strateg

      Confirmation ke liye third candle ka close previous bearish candle ke halfway se upar hona chahiye.

      Volume analysis aur RSI jaise indicators ke sath confirmation zaroori hai.

      Stop-loss previous low ke neeche aur target resistance level ke paas rakhna behtar hota hai.


      2. Evening Star Pattern (Bearish Reversal)

      Evening Star ek bearish reversal pattern hai jo uptrend ke end par banta hai aur price ke downward movement ka indication deta hai.

      Formation

      First Candle: Ek strong bullish (green) candle jo market ke existing uptrend ko confirm karti hai.

      Second Candle: Ek small-bodied candle jo indecision dikhati hai, bullish ya bearish dono ho sakti hai.

      Third Candle: Ek strong bearish (red) candle jo pehli bullish candle ka achha portion cover karti hai, bearish trend start hone ka signal deti hai.


      Trading Strategy

      Confirmation ke liye third candle ka close previous bullish candle ke halfway se neeche hona chahiye.

      Moving averages, RSI, aur volume indicators ka analysis karna zaroori hai.

      Stop-loss previous high ke upar aur target next support level par rakhna behtar hota hai.


      Morning Star aur Evening Star patterns powerful reversal signals hain jo traders ko trend shift ko predict karne mein madad dete hain. Inhe use karne se pehle proper confirmation aur risk management strategies ka apply karna zaroori hai.




      اب آن لائن

      Working...
      X