MACD Divergence Indicator forex trading mein ek bahut hi ahem tool hai. Iski madad se traders market trends aur price movements ka pata laga sakte hain. MACD divergence indicator mein MACD line aur signal line ka difference dekha jta hai aur is ke madad se market ke upar aur niche ki movements predict ki ja sakti hain.
Indicators line
MACD indicator mein 2 lines hoti hain: MACD line aur signal line. Jb MACD line signal line ko cross karta h to isse divergence signal milta hai. Agr MACD line upar se signal line ko cross kare to ye bullish divergence signal hai aur iska matlab hai ki market upar jayega. Jab MACD line niche se signal line ko cross kare to ye bearish divergence signl hai aur is ka matlab hai ki market niche jayega.
Movement system
MACD divergence indicator forex trading mein bahut hi useful hai kyun k is k madad se traders market trends aur price movements ka pata laga sakte hain. Iske alawa iska use price reversals ka pata lagane ke liye bhi kiya jata hai.is me apko price ki detail k bary me b full knowledge hna chaye.
Basic knowledge
Is indicator ko use karne ke liye traders ko MACD ki basic knowledge honi chahiye aur iske alawa market analysis aur technical analysis ki knowledge bhi honi chahiye. is me apko hr cheeze k basic k bary me pta hna chaye.
Final words
MACD divergence indicator ka use karne se pehle traders ko iske benefits aur limitations ke bare mein pata hona chahiye. Is se traders apne trading decisions ko better bana sakte hain aur apne trading profits ko increase kar sakte hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим