Forex market mein trading karne ke lie traders ko do tarah ke analysis ki zarurat hoti hai. Technical Analysis aur Fundamental Analysis. Is article mein hum Fundamental Analysis k baare me bat karen gy.
Mission
Fundamental Analysis, ek aisa analysis hai jismein traders economic social aur political factors ko samjhne ki koshish karte hain jis se woh market ki direction aur trend ko predict kar sakty hen. Yeh analysis economic calendr news aur announcements jaise sources se kiya jata h.
Economics Factors
Fundamental Analysis mein traders economic factors jaise ki GDP growth rate, inflation rate, interest rates employment rate aur trade balance ke baare mein jaankari lete hain. Social factors jaise ki population growth rate, lifestyle changes aur consumer behaviour ke baary me bhi jaankari lete hain. Political factors jaise ki elections, government policies aur wars ke baare me b jaankari lety hain.is me apko hr trah sy apni involvement show krni prhti h.
Direction prediction
Fundamental Analysis ki madad se traders market ki trend aur direction ko predict kar sakte hen. Agar economy strong hai toh currency bhi strong hti h aur vice versa. Is liye traders economic calendar aur news announcements pr dhyaan dety hain.is ki madad sy ap direction ka pta lga skty hen.
Final Words
Fundamental Trading Analysis Forex mein bahut important hai. Is analysis ki madad se traders market ki direction aur trend ko predict kar sakte hain aur apni trading strategy ko accordingly adjust kr sakte hain. Is liye traders ko is analysis ko samjhna aur use karna bahut zaruri hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим